Sunday, October 7, 2007

jugalbandi

Dosti ya prem mein kahte hain matbhed ho magar manbhed na ho.magar kya ho agar na matbhed ho na manbhed? hmmm tab shuru hoti hai Jugalbandi.jab do log,do saaz ya koi bhi do cheezein ek hi sur mein bolein to hoti hai Jugalbandi. aaiye jugalbandi ke kuchh namoone dekhte hain-

Sangeet mein ek taal hai-Kaharwa taal-8 maaatron ka- DHA GE NA TI NA KA DHI NA. saamanyatah rajsthan aur uttari Bihar ke sangeet mein iska prayog hota hai. is taal par aadhaarit zyadatar gaane bahut hi prasiddh hote hain aur iska ek kaaran hai- 8 maatraon ka yeh taal jab apne 9 chakkar poore karta hai to 72 maatraayein banti hain
aur 72 maatraayein matlab ek saamaanya insaan ke dil ki dhadkanon ki sankhya 1 minute mein.aur is tarah Dhadkanon se is taal ki jugalbandi hoti hai aur jo dil se mil jaaye woh to achha lagega hi.

Subah subah jab roshni hoti hai magar dhoop nahin hoti,bahut achha lagta hai aur kahte hain bahut hi faaydemand hoti hai.halki roshni jab Oas ki boondon par padti hai to oas ki boondein bilkul wahi roshni aur thandak reflect karti hain jo hamari aankhon tak pahunchti hai aur yeh jugalbandi hai Prakriti ki do roshni ke beech.aur jab prakriti is tarah ki jugalbandi kare to sukoon aur faayda to milega hi.

Bas yahi hai jugalbandi. Do alag tarah ki cheezein aur ek hi sur.na matbhed na manbhed.to aaiye karte hain JUGALBANDI.

3 comments:

Kumar Anshul said...

Jugalbandi - bahut accha likha hai Piyush. Ismein tumhara touch dikhta hai. Sangeet ki jo baat udaharan ke saath batayi hai, bahut hi sateek baithti hai. Maine note nahin kiya tha. Aaj jab tumne likha ki uttari bihar ke bahut se gaane kaharva pe baithate hain, to gin ke dekha. bahut se lok geet (folk song) jo maa ya bahnein gaati hain, kaharva pe hi hain. Surprisingly, Chhath ke gaane kaharva pe nahin hain......

Prakriti ka udaharan saath nahin ja raha....... is not fitting as well as sangeet. Personal view!

Manali_Aaina said...

kaharva ka udaharan aur description mind blowing hai....but oas ki boond aur aankhein aur 2 type ki roshni samajh mein nahin aya...zara explain karna ho sake to..keep writing...

Manali_Aaina said...
This comment has been removed by the author.